Monday, August 29, 2011

kaash ki ho paata sab kuch aisa!

Na maathey pe lakeerein aati,
na shikan ki boondein hoti.

dost dhokha na dete kabhi aur
mohabbat ko hamse mohabbat hoti.

na jannat ki tamanna, na maut ka darr!
aazaad hotey ek panchi ki tarah,

kaash,
har kadam ne wafa ki hoti!
kaash ki ho paata sab kuch aisa.

--
jab khoon beh raha tha aur kaano mei goonj raha tha goliyon ka shor,

desh, dharm, khan aur pandit ke naam pe jab haiwaan ban gaya tha insaan ke andar ka chor.

hota sirf hawaon mein goonjta aman ka paigaam.

jeet ke liye jung na hoti,
na hota mandir masjid,
na hota khuda badnaam,

sab ek dharm ke hotey aur vivaad ki baat na hoti,

kaash!
ki ho paata sab kuch aisa.
:)